Sar Taak-e-Jaa'n Na Charaagh Hai, Pas-e-Bam-e-Shab Na Sehar Koi.
Ajab Aik Arsa-e-Dard Hai, Na Gumaan Hai Na Khabar Koi.
Nahi Ab To Koi Malaal Bhi, Kisi Wapsi Ka Khayaal Bhi.
Gham-e-Be-Kasi Ne Mita Diya Mere Dil Mein Tha Agar Koi.
Tujhe Kiya Khabar Hai K Raat Bhar Tujhay Dekh Paane Ko Ik Nazar.
Raha Saath Chaand K Muntazir Teri Khirrkiyon Se Udhar Koi,
Sar-e-Shaakh Jaa'n Tere Naam Ka Ajab Aik Taaza Gulaab Tha.
Jissay Aandhiyon Se Khatar Na Tha, Jissay Tha Khizaa'n Ka Na Dar Koi.
Teri Be-Rukhi K Dayaar Mein, Ghhani Teergi K Hisaar Mein.
Jalay Kis Tarah Se Charaagh-e-Jaa'n, Kare Kis Taraf Ko Safar Koi.
Katay Waqat Chaahey Azaab Mein, Kisi Khuwaab Main Ya Saraab Mein.
Jo Nazar Se Door Nikal Gaya, Ussay Yaad Karta Hai Har Koi.
Sar-e-Bazm Jitnay Charaagh Thay, Wo Tamaam Ramz Shanaas Thay.
Teri Chashm-e-Khush K Lehaaz Se Nahi Bolta Tha Magar Koi.
1 Comments
masterpiece
ReplyDelete