Afsana-e-Hasti Hoon Haqiqat Ki Zabaa'n Hoon,
Suntay Nahi Meri K Mein Sehra Ki Azaa'n Hoon.
Har Chand K Mein Seena-e-Arzi Pe Giraa'n Hoon,
Haq Ye Hai K Insaan Ki Azmat Ka Nishaa'n Hoon.
Makhfi Kaheen Hoon To Kaheen Sub Pe Ayaa'n Hoon,
Emaan-o-Yaqee'n Hoon To Kaheen Weham-o-Gumaa'n Hoon.
Be-Khauf Chale Aayen Musafir Mere Pechay,
Gum Gashta-e-Manzil Hoon Magar Phir Bhi Rawaa'n Hoon.
Dekho Jo Mera Haal To Hoon Zar'ra-e-Khaaki,
Socho To Khud Apni Jagah Kaun-o-Makaa'n Hoon.
Har Simat Hoon Phaila Huwa Simta Huwa Kab Hoon,
Har Ik Dil Mein Hoon Agar-Chay Dhuwaa'n Hoon.
0 Comments