Behtay Huway Dariya Ki Rawaani Ko Samajhta,
Lagti Jo Tujhe Piyaas To Paani Ko Samajhta.
Karna Tha Tujhe Ishq To Phir Ishq Se Pehlay,
Behtar Tha Muhabbat K Ma'aani Ko Samajhta.
Duniya Na Kabhi Tootnay Pindaar-e-Muhabbat,
Ay Kaash Tu Khud Meri Kahaani Ko Samajhta.
Hijrat Ka Sabaq Mujh Ko Wohi Dene Laga Hai,
Jo Shakhs Nahi Naqal-Makaani Ko Samajhta.
Rehta Na Kabhi Bhi Wo Mery Khuwaab Se Bahir,
Ek Baar Jo Jazbaat-e-Jawaani Ko Samajhta.
Aata Jo Hunar Mujh Ko Kharidaari Ka, Main Bhi,
Bazaar-e-Zamaana Ki Giraani Ko Samajhta.
Gambhir-e-Masaa'il Mein Shab-o-Roz K,
Fursat Thi Kisay? Raat Ki Raani Ko Samajhta.
0 Comments