Badbaan Kab Kholta Hon Paar Kab Jaata Hon Main
Roz Raste Ki Tarah Darya Se Lota Aata Hon Main
Subah Dam Me Kholta Hon Rassi Apnay Paon Ki
Din Dhaley Khud Ko Kahin Se Haank Kar Laata Hon Main
Apni Janib Se Bhi Deta Hon Kachoke Jism Ko
UsKi Janib Se Bhi Apnay Zakhm Sehlaata Hon Main
Aik Bache Ki Tarah Khud Ko Betha Kar Saamne
Khob Khud Ko Kosta Hon Khob Samjhaata Hon Main
Khushk Patton Ki Tarah Hai Quwwat-e-Goyai Bhi
Baat Koi Bhi Nahi Aur Bolta Jaata Hon Main
Ye Wohi Tanhai Hai Jis Se Behal Jata Tha Dil
Ye Wohi Tanhai Hai Ab Jis Se Ghabraata Hon Main
Ishq Me Maani'e Hai Ghalib Ki Taraf-Daari Mujhe
Roub Jab Chalta Nahi To Paon Parr Jaata Hon Main
Meray Hath Aate Hain Taabish Doosre Mosam K Phool
Aik Mosam Me To Tehni Tak Pohanch Paata Hon Main
0 Comments