Umar Ghhatti Rahi Khabar Na Huwi

Umar Ghhatti Rahi Khabar Na Huwi,

Waqat Ki Baat Waqat Par Na Huwi.



Hijar Ki Shab Bhi Katt Hi Jaaye Gi,

IttefaQQan Agar Sahar Na Huwi.



Jab Se Aawargi Ko Tark Kiya,

Zindagi Lutf Se Basar Huwi.



Ess Khataa Se Khuloos Kiya Ho Ga,

Jo Khataa Ho K Bhi Na-Dar Na Huwi.



Mil Gayi Thi Dawaa-e-Marg Magar,

Khizar Par Wo Bhi Kaargur Na Huwi.



Kis Qadar Saada Loh Thi Sheere'n,

Shubda-Gar Se Baa-Khabar Na Huwi.



Kohkaan Doob Mar Kaheen Jaa Kar,

Tujh Se Pehle Muhim Bhi Sar Na Huwi.



Khuwahishain Itni Khoobsurat Theen,

Koi Dil Se Idhar Udhar Na Huwi.



Dil Me Aanso To Kam Nahi Thay AdeeM,

Aankh Paas Adab Se Tar Na Huwi..

Post a Comment

0 Comments