Seenay Se Is Tarah Ye Dil-e-Natwan Gaya ..


Seenay Se Is Tarah Ye Dil-e-Natwan Gaya ..
Ham Sab Se Pochtay Rahay Aakhir Kahan Gaya ..

Dil Ka Safar Hai Aur, Ye Qadmon Ki Chaal Aur ..
Hum Ho K Aa Gaye To Wahan Kaarwan Gaya ..

Aisi Pari Wo Mujh Pe Ebadat-Shikan Nigaah ..
Sajda Gaya, Namaz Gayi, Aastan Gaya ..

Jangal Mein Is Tarah Ki Udaasi Kabhi Na Thi..
Ay Kaarwan Thehar, Mera Sathi Kahan Gaya ..

Sab Mujh Ko Sun Rahy They Bare Inhamaak Se ..
Boli Wo Aankh Kiya, Mera Zor-e-Bayan Gaya ..

Rashid Wo Aik Shakhs Tha Duniya Mery Liye ..
Wo Kiya Gaya K Sara Hi Rang-e-Jaahan Gaya..

Post a Comment

0 Comments