Teri jannat se hijrat kar rahe haiN
Farishte kya baghavat kar rahe haiN
Hum apne jurm ka iqraar karelien
Bahut din se yeh himmat kar rahe haiN
Woh khood haare hue hain zindagi se
Jo duniya par hukumat kar rahe haiN
ZamiiN bhiigi hui hai aansuoN se
YahaN baadal ibaadat kar rahe haiN
Fezaa meiN aayateiN mehki hui haiN
KahiN bach-che tilaawat kar rahe haiN
Humaari be-basi ki intehaa hai
K zaalim ki himaayat kar rahe haiN
ParindoN ke zameen-o-aasmaaN kya
Watan mein rah ke hijrat kar rahe haiN
Ghazal ki aag meiN palkoN ke saaye
Muhabbat ki hifaazat kar rahe haiN
MaiN apne bhaaiyoN se mukhtalif huN
Woh mausam ki shikaayat kar rahe haiN
0 Comments