Woh Soz-e-Dil Ki Namood Hai Kabhi Ashk Mein Kabhi Aah Mein
Teri Rehmaten Bhi Na Rakh Sakeen Mere Gham Ko Apni Panah Mein,
Kahaan Husn Mein Hai Yeh Hosla Kay Garift-e-Waqt Se Cheen Le
Woh Jabeen-e-Shaoq Ki Azmaten Jo Luti Hain Ishq Ki Raah Mein,
Thein Agar Raah-e-Hayaat Mein Mere Gird-o-Pesh Tajalliyaan
Mujhe Daad Do Kay Tum Hi Rahe Mere Intikhaab-e-Nigaah Mein,
Main Kharaab-e-Gardish-e-Roz-o-Shab Meri Justaju Mein Hain Zulmaten
Tumhen Apne Husn kaa Waasta Mujhe Le Lo Apni Panaah Mein,
Thay Agrche Senkron Marhale Yoon Hi Zeest Maine Guzaar Di
Kabhi Teri Zulf Ki Chaaon Mein Kabhi Tere Gham Ki Panaah Mein,
Main "Kaleem" Khogar-e-Ranjh Hoon, Meri Zindgi Hai Woh Zindgi
Jise Aansu`on Se Sakoon Mila, Jise Chain Daaman-e-Aah Mein.'
0 Comments