'Main jab b yaad ki shammain jala k rakhta hun,

'Main jab b yaad ki shammain jala k rakhta hun,

Ye meri zid hay k samnay hawa k rakhta hun,

Main toot sakta hun Lekin main jhuk nahi sakta,

Shikasta zaat main pehlu anaa k rakhta hun,

Wo baadbaan hay agar kashti-e-muhabat ka,

Main baadbaan se rishty hawa k rakhta hun,

Tumaray khat hain mehekty Gulab ki manind,

Wo or khiltey hain,
Jitna chupa k rakhta hun,

Main janta hun k aana nahi kisi ne "SAGAR"

Magar me darwaazy pe shammain jalaa k rakhta hon.'
         

Post a Comment

0 Comments