Naya hai shehar naye aasre talaash karun,

Naya hai shehar naye aasre talaash karun,
tu kho gaya hai kahan ab tujhe talaash karun.

Jo dasht mein bhi jalaate the fasl-e gul ke
charaagh,
main shehar mein bhi wahi aable talaash
karun.

Tu aks hai toh kabhi meri chashm-e tarr mein
utar,
tere liye kahan main aainey talaash karun.

Tujhe hawaas ki aawaragi ka ilm kahan,
kabhi main tujh ko tere saamne talaash
karun.

Ghazal kahun kabhi saada se khat likhun usko,
udaas dil ke liye mashghale talaash karun.

Mere Wazood se shayad mile suraag tera,
kabhi main khud ko tere waaste talaash
karun.

Main chup rahun kabhi bewajah hans paron.
Mohsin
usey ganwa ke ajab housle talaash karun.





"""""""""""'''"""""""""'""""""""""""'""
For More Urdu Poetry,
Like My Facebook Page.

https://facebook.com/mehroz717

Post a Comment

0 Comments