Agarche main ek chattaan sa aadmi raha hun,
magar tere baad housla hai ki jee raha hun.
Woh raiza raiza mere badan mein utar raha
hai,
main qatra qatra ussi ki aankhon ko pee raha
hun.
Teri hatheli pe kis ne likha hai qatal mera,
mujhe toh lagta hai main tera dost bhi raha
hun.
Khuli hain aankhein magar badan hai tamaam
patthar,
koi bataaye main marr chuka hun ki jee raha
hun.
Kahan milegi misaal meri sitamgari ki,
Ki main gulaabon ke zakham kaanto se sii
raha hun.
Na puchh mujh se ki shehar walon ka haal kya
tha,
ki main toh khud apne ghar mein bhi do ghadi
raha hun.
Mila toh beete dinon ka sach uski aankh mein
tha,
woh aashna jis se muddaton ajnabi raha hun.
Bhula de mujh ko ki bewafaai bajaa hai lekin,
ganwa na mujh ko ki main teri zindagi raha
hun.
Woh ajnabi ban ke ab mile bhi toh kya hai
'mohsin
ye naaz kam hai ki main bhi uska kabhi raha
hun. !!
"""""""""""'''"""""""""'""""""""""""'""
For More Urdu Poetry,
Like My Facebook Page.
https://facebook.com/mehroz717
0 Comments