Kisi ki aas ban kar phir, usay tanha nahi karty,

Kisi ki aas ban kar phir,
usay tanha nahi karty,

bhala kitni bhi mushkil ho,
magar esa nahi karty,

muhabbat main shikayat ka,
kahan dastoor hota hai,

gila kar k muhabbat ko,
kabhi ruswa nahi karty,

wafaain to haqeeqat main,
bari anmol hoti hain,

kabhi apni wafaoun ka,
sila manga nahi karty,

Post a Comment

0 Comments