Yeh jo lab per hai ruki ruki, Meri saans mien hai dabi dabi

Yeh jo lab per hai ruki ruki, Meri saans mien
hai dabi dabi
Woh baat lamhe fishar ki, is zindagi key
hisar ki

Yeh justujoo rukay gi kab, loh-e-Nagahan
thamay gi kab
Hai aas choop jaanay ki ab, or Arzoo faraar
ki

Sawal  hai ya jawab hai, nakhl hai ya saraab
hai
is ajnabi se shehr mien, na baat apnay Dayar
ki

Chalay subhoo shamm dagar dagar, aaj is
gali kal us nagar
Milay sirf dhool Kay kaflay, or bastiaan
ghubaar ki

Lagaay  daagh sir pey jo dooh liyay, kabhi
haans Paraay, kabhi ro liyay
Hoyay choor pair bhi na mil sakein, humhein
manzilein qarar ki

Ruka hoa na Chala hoa, ek khel Ajab hai
racha hoa
Hai Baazi yeh Bari munfarid, jeet ki na haar
ki

Woh jab hoa or joon hoa, Kab hoa or kion hoa
bass bhi kar do ab Omer, yeh baat hai
bekaar ki

Post a Comment

0 Comments