Agr main shaer hota tu,

Agr main shaer hota tu,
Tumhen maloom hai
K
Main tumhen lfzon main kya likhta?

Tumhen main boht hasen likhta
Teri aankhon main terti jo nmi kbhi
Samndr ki shokh ada likhta
Tumhari muskraht ko
Subha ki roshni likhta

Tery honton k til ko
Zulm ki intha likhta
Teri in ghni zulfon ko
Dhlti sham likhta main
Teri in mst adaon ko
Jzbat ka qatil likh deta

Agr main shaer hota naa
Tumhen pholon ki dewani
Pryon ki rani likhta main
Khen pr mgror shehzadi
Bnd Qaba likh deta

Jo main shaer hota na
Tumhen main zamen likhta
Tum hi ko flak likh deta
Tumhen chnda ki chandni
Sitaron ki misl likh deta
Agr main shaer hota naa.....




Poet : Tahira arain

Post a Comment

0 Comments