Jaane wale teri yaadon ko bhula kar dekha,

Jaane wale teri yaadon ko bhula kar dekha,
Loh-e-dil se tera har naqsh mittaa kar dekha,


Saari duniya ko nazar aaney lage tere naqoosh,
Jab bhi aankhon main kabhi tujh ko chupa kar dekha,


Tere jaate hi khafaa ho gayi duniya sari,
Baar-haa hum ne yeh ehsaas mitaa kar dekha,


Sangdil meri wafaaon ka tu qaayel na hua,
Zakham har baar neya tu ne lagaa kar dekha,


Raas kyun dosti aayi na kisi ki hum ko,
Hum ne har taur se paimaan nibhaa kar dekha,


Bhool bhi ja zamaane ke sitam ab tu " Jabeen",
Hansne waalon ne tumhe kitna hansaa kar dekha..

Post a Comment

0 Comments