Jaane kiyon jaan k anjaan bana betha hai 

Jaane kiyon jaan k anjaan bana betha hai 
itna khamosh ke bhagwan bana betha hai 

Kitna masoom tha jab main ne use dekha tha 
Aaj jo waqt ka sultaan bana betha hai 

Mujh se wo door sahi phir bhi qareb hai itna 
dil k aewaan mein mehmaan bana betha hai 

Usko fursat hi kahan haal bhi poche mera 
Rafta rafta jo meri jaan bana betha hai 

Bhol jaon main usay ye to mumkin hi nahi 
Wo mere dard ki pehchan bana betha hai

Post a Comment

0 Comments