Go zara si baat par barson ke yaraanay gaye,

Go zara si baat par barson ke yaraanay gaye,
Lekin itna to huwa kuch log pehchane gaye,

Main isay shohrat kahoon ya apni rushwayi kahoon,
Mujh se pehle us gali main mere afsanay gaye,

Wehshaten kuch is qadar apna muqaddar ho gayin,
Hum jahan pohanche hamare saath viraanay gaye,

Yun to woh meri rag-e-jaan se bhi thay nazdeek tar,
Aansuyon ki dhund main lekin na pehchaane gaye,

Ab bhi un yaadon ki khushbuu zehen main mehfooz hai,
Baa’arhaaa hum jise gulzaaron ko mehkaanay gaye,

Kya qayamat hai ke khatir kushta shab hum hi thay,
Subha jab aayi to mujrim hum hi gardaanay gaye..

Post a Comment

0 Comments