bewafai se pareshan bhi ho jatey hain
narm jhonkey kabhi toofan bhi jatey hain
hum ne mehboob jo badla to ta’ajub kesa
log kafir se musalman bhi ho jatey hain
yun to ik dard ka rishta hai sabhi logon se
log kuch zeest ka unwan bhi ho jatey hain
shehr bhar ko main muhabbat to sikha doon lekin
khud tarashey huey bhagwan bhi ho jatey hain
hadisa ho ya koi mojza shahi kuch ho
rastey pyar k asan bhi ho jatey hain.
0 Comments