Kya karon ranj gawaara, na khushi raas mujhe

Kya karon ranj gawaara, na khushi raas mujhe 
Jeenay de gi na meri shiddat-e-ehsaas mujhe 

Main kisi bazm k qaabil na raha tere baad 
Hans parra hoon to huwa jurm ka ehsaas mujhe 

Hum ne ik dosray ko pursa-e-furqat na diya 
Meri khaatir thi tujhe, aur tera paas mujhe 

Aik thehra huwa dariya hai meri aankhon mein 
Jaane kis ghaatt pe maaray gi teri piyaas mujhe 

Reza reza huwa jaata hai mera sang-e-wujood 
Youn sada de na pas-e-perda-e-anfaas mujhe 

Jaise pehloo-e-tarab mein koi nashter rakh de 
Aaj tak yaad hai teri nigeh-e-yaas mujhe 

Shaakh se berg-e-chakeedah ka taqaaza jaise 
Kuch isi tarha abhi tak hai teri aas mujhe 

Rooh k dasht mein ik hoo ka samaan hai, ay Shaaz 
De gaya kon bhare shehr mein ben'baas mujhe

Post a Comment

0 Comments