Meray khawaboon main maat anaa

Ghamoon main ghark ratain hain
Bht pur dard batain hain
Meri ankhoon k halkoon ko
Zara tum ghor say dekhoo
Merii pur khawab palkoon ko
Zara tum ghor say dekhoo
Main soona chahtii hun pr
Merii ankhoon ko adat hy
Terii yadoon main jagnay ki
Akelay yun sulagnay ki
Main ankhain band krti hun
Khayal e yaar say hatt krr
Sunoo main soo toh jati hun
Adam main khoo toh jati hun
Mgr itni GUZARISH hy
Meray khawaboon main maat anaa

Post a Comment

0 Comments