Zindagi sirf issi dhun main guzarey jayen

Zindagi sirf issi dhun main guzarey jayen
Bass tera naam, tera naam pukarey jayen

Jab yeh tay hai ke yahan koi nahin aye ga
Kis ki khatir dar-o-deewar sanwarey jayen

Aik tujh tak na pohanch paye mere dard ki aanch
Aasman tak to mere gham ke sharaarey jayen

Jab mulaqat na thi tab to koi baat na thi
Ab yeh tanhai ke din kese guzarey jayen

Yahan ghamkhawaar nahin hai wahan azaar nahin
Kiss jahan mein yeh tere dard ke maarey jayen

Main andheron mein nahin main to wahan jaon ga
Woh jahan sath mere chaand sitarey jayen

Jeet kar to kahin le jaye musalsal hum ko
Aur hum roz teri chaah mein haarey jayen

Marg-e-jaan na sahi, marg-e-mohabbat hi sahi
Zindagi kuch to tera qarzz utarey jayen

Fasilon se na hua josh-e-mohabbat ka ilaaj
Yeh to kuch aur bhi jazbon ko ubhaarey jayen

Bazm-e-ehbaab to tasveer ka ik rukh hai Adeem
Is mein dushman bhi to do chaar hamarey jayen

Wassl ke baad mohabbat ki sazaa theek Adeem
Maarey jayen bhi to kyon muft main maarey jayen

Post a Comment

0 Comments