Gumshuda mohabbat k khwabon ki tarah hai.
Wo rooh k sehra min sarabon ki trah hai
Wo zeest k maktab min nisabon ki trah hai.
Parhta hon use roz, kitabon ki trah hai.
Ab us se khayalon min hi ho jati hen baten.
Go beech min parda he, hijabon ki trah hai
Us shakhs k lehje min sheeshe ki khanak hai
Rag rag min utarta he sharabon ki trah hai
Us shakhs k pekar min he shakhon ki lachak si.
Us shakhs ka chehra bhi gulabon ki trah hai.
Jo wisal ki raton min he ik maah e musalsal.
Furqat min wahi shakhs azabon ki trah hai.
0 Comments