Sare – raah kuchh bhi keha nahin kabhi uss ke ghar mein gaya nahin,

Sare –  raah kuchh bhi keha nahin kabhi uss ke ghar mein gaya nahin,
main janam janam se usi ka hun usey aaj tak ye pata nahin.

Usey paak nazron se chumna bhi ibaadaton mein shumaar hai,
koi phool laakh qareeb ho kabhi maine uss ko chhuaa nahin.

Ye khuda ki den ajeeb hai ki isi ka naam naseeb hai,
jise tune chaaha woh mil gaya, jise maine chaaha mila nahin.

Isi sheher mein kayi saal se mere kuchh qareebi azeez hain,
unhen meri koi khabar nahin, mujhe un ka koi pataa nahin. 

Post a Comment

0 Comments