Tujhe ehsaas hi kya tha bicharne se zara pahle

 Tujhe ehsaas hi kya tha bicharne se zara pahle....
 Main qatra tha ya dariya tha bicharne se zara pahle...

 Na jaane kyun zamaane baad mujh ko yeh khyaal aaya...
Main ek raushan sitaara tha bicharne se zara pahle..

 Phir uske baad aankhon me kabhi aansu nahi aaye...
  Bahut tumne rulaya tha bicharne se zara pahle.

. Kisi ko kya pata main kyun thaka maanda sa rahta hun...
Main sheesha jaise toota tha bicharne se zara pahle..

 Muhabbat ki kahani me kai kirdaar aise the..
Jinhen main JaaN se pyara tha bicharne se zara pahle.

. ﺗﺠﮭﮯ ﺍﺣﺴﺎﺱ ﮨﯽ ﮐﯿﺎ ﺗﮭﺎ ﺑﭽﮭﮍﻧﮯ ﺳﮯ ﺫﺭﺍ ﭘﮩﻠﮯ
ﻣﯿﮟ ﻗﻄﺮﮦ ﺗﮭﺎ ﯾﺎ ﺩﺭﯾﺎ ﺗﮭﺎ ﺑﭽﮭﮍﻧﮯ ﺳﮯ ﺫﺭﺍ ﭘﮩﻠﮯ

ﻧﮧ ﺟﺎﻧﮯ ﮐﯿﻮﮞ ﺯﻣﺎﻧﮯ ﺑﻌﺪ ﻣﺠﮫ ﮐﻮ ﯾﺎﺩ ﺁﯾﺎ ﮨﮯ
ﻣﯿﮟ ﺍﮎ ﺭﻭﺷﻦ ﺳﺘﺎﺭﮦ ﺗﮭﺎ ﺑﭽﮭﮍﻧﮯ ﺳﮯ ﺫﺭﺍ ﭘﮩﻠﮯ

ﭘﮭﺮ ﺍﺱ ﮐﮯ ﺑﻌﺪ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ ﺁﻧﺴﻮ ﻧﮩﯿﮟ ﺁﺋﮯ
ﺑﮩﺖ ﺗﻢ ﻧﮯ ﺭﻻﯾﺎ ﺗﮭﺎ ﺑﭽﮭﮍﻧﮯ ﺳﮯ ﺫﺭﺍ ﭘﮩﻠﮯ

ﮐﺴﯽ ﮐﻮ ﮐﯿﺎ ﺧﺒﺮ ﻣﯿﮟ ﮐﯿﻮﮞ ﺗﮭﮑﺎ ﻣﺎﻧﺪﮦ ﺳﺎ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﻮﮞ
ﻣﯿﮟ ﺷﯿﺸﮧ ﺟﯿﺴﮯ ﭨﻮﭨﺎ ﺗﮭﺎ ﺑﭽﮭﮍﻧﮯ ﺳﮯ
 ﺫﺭﺍ ﭘﮩﻠﮯ

ﻣﺤﺒﺖ ﮐﯽ ﮐﮩﺎﻧﯽ ﻣﯿﮟ ﮐﺊ ﮐﺮﺩﺍﺭ ﺍﯾﺴﮯ ﺗﮭﮯ
ﺟﻨﮩﯿﮟ ﻣﯿﮟ ﺟﺎﮞ ﺳﮯ ﭘﯿﺎﺭﺍ ﺗﮭﺎ ﺑﭽﮭﮍﻧﮯ ﺳﮯ ﺫﺭﺍ ﭘﮩﻠﮯ

Post a Comment

0 Comments