Tujhe kho kar bhi tujhe paauN, jahaaN tak dekhuN
Husn-E-yezdaaN se tujhe husn-E-butaaN tak dekhuN
Tu ne yuN dekha hai jaise kabhi dekhaa hi na tha
Main to dil mein tere QadmoN ke nishaaN tak dekhuN
Faqat is shouq mein poochhi haiN hazaaroN baateiN
MaiN tera husn, tere husn-E-bayaaN tak dekhuN
Mere veeraana-E-jaaN meiN tere Gham ke dam se
Phool khilte nazar aate haiN jahaaN tak dekhuN
Waqt ne zehn mein dhundhla diye tere khad-O-Khaal
YuN to maiN TooT-te taaroN ka dhuaaN tak dekhuN
Dil gaya tha to yeh aaNkheiN bhi koi le jaataa
MaiN faqat aek hi tasveer kahaaN tak dekhuN
Ek haQeeQat sahi firdous meiN hooroN ka wajood
Husn-E-insaaN se nimaT luN to wahaaN tak dekhuN
0 Comments