hai duā yaad magar harf-e-duā yaad nahīñ

hai duā yaad magar harf-e-duā yaad nahīñ 
mere naġhmāt ko andāz-e-navā yaad nahīñ 

maiñ ne palkoñ se dar-e-yār pe dastak dī hai 
maiñ vo saa.il huuñ jise koī sadā yaad nahīñ 

maiñ ne jin ke liye rāhoñ meñ bichhāyā thā lahū 
ham se kahte haiñ vahī ahd-e-vafā yaad nahīñ 

kaise bhar aa.iiñ sar-e-shām kisī kī āñkheñ 
kaise tharrā.ī charāġhoñ kī ziyā yaad nahīñ 

sirf dhundlā.e sitāroñ kī chamak dekhī hai 
kab huā kaun huā kis se khafā yaad nahīñ 

zindagī jabr-e-musalsal kī tarah kaaTī hai 
jaane kis jurm kī paa.ī hai sazā yaad nahīñ 

aao ik sajda kareñ ālam-e-madhoshī meñ 
log kahte haiñ ki 'sāġhar' ko khudā yaad nahīñ

ہے دعا یاد مگر، حرف دعا یاد نہیں
میرے نغمات کو اندازے نوا یاد نہیں

ہم نےجن کے لیے راہوں میں بچھایا تھا لہو
ہم سے کہتے ہیں وہ ہی عہد وفایاد نہیں

زندگی جبر مسلسل کی طرح کاٹی ہے
جانے کس جرم کی سزا پائی ہے یاد نہیں

میں نے پلکوں سے در یار پہ دستک دی ہے
میں وہ سائل ہوں جسے کوئی صدا یاد نہیں

کیسے بھر آئیں سر شام کسی کی آنکھیں
کیسے تھرائی چراغوں کی ضیاء یاد نہیں

صرف دھندلاتےستاروں کی چمک دیکھی ہے
کب ہوا،کون ہوا ،کس سے خفا یاد نہیں

آؤ ایک سجدہ کریں عالم مدہوشی میں
لوگ کہتے ہیں ساغر کو خدا یاد نہیں

Post a Comment

0 Comments