Zameen kaisi lagegi, aasman kaisa lagega
Hamare baad tumko ye jahaaN kaisa lagega
Thake haare hue suraj ki bhigi raushni men
HawaaoN se ulajhta baadbaaN kaisa lagega
Jame qadmon ke niche phisalti jaegi ret
Bikhar jaegi jab umr-e-rawaaN kaisa lagega
Isi miTTi men mil jaegi punji umr bhar ki
Giregi jis ghaRi diwar-e-jaaN kaisa lagega
Bahut itra rahe ho dil ki bazi jeetne par
Ziyan baad az ziyan baad az ziyan kaisa lagega
Wo jis ke baad hogi ek musalsal be-neyazi
GhaRi bhar ka wo sab shor o fughan kaisa lagega
Abhi se kya bataen marg-e-majnun ki KHabar par
Suluk-e-kucha-e-na-mehrbaaN kaisa lagega
Batao to sahi ai jaan-e-jaan kaisa lagega
Sitaron se bhara ye aasman kaisa lagega
0 Comments