jab bhi koi baat chupana parti hai

jab bhi koi baat chupana parti hai
tab bhi sari baat sunana parti hai

tum bhi to bas shaam ka vada kartay ho
hum ko din main shaam sajana parti hai

badal chatt se roz hi rotha rehta hai
mujh ko khud barsaat churana parti hai

jab se wo shoqeen hua angaron ka
paani main bhi aag jalana parti hai

tanhai ko baat batata hu kuch aor
logon ko kuch aor batana parti hai

wo jo mujh ko yaad kabhi na ho payi
ab mujh ko wo baat bhulana parti hai

in gaalon ki pyaas bujhanay k khatir
ankhon se ik boond girana parti hai

pehle tujh ko khwaab main dekha krta hon
phir khud ko tabeer batana parti hai

Post a Comment

0 Comments