tumharay wastay jhanjhornay paray cigrite
tum agaye to muje tornay paray cigrite
udas shaam wohi aor raqs e tanhayi
ba ein hama bhi muje chorne paray cigrite
main is se pehle to bad ehd hi raha lekin
yeh aaj kis k sabab mornay paray cigrite
bana gya tha dhuan ik faseel yadon ki
muje bhi sar ki jagah phornay paray cigrite
na toot jaye koi silsila kisi lamhay
tumhari yaad se phir jornay paray cigrite
0 Comments