Haadso ki zad pe hain to kya muskurana chor dein

Haadso ki zad pe hain to kya muskurana chor dein
Zalzalon ke khauf se kya ghar banana chor dein

Tumne mere ghar na aane ki Qasam khaayi to hai
Aansuyo se bhi kaho aankho mein aana chor dein

pyaar ke dushman ek baar pyaar se keh k to dekh
Aik tera dar hi kya hum to zamaana chor dein

Dard mandi k sabhi rishte dhare reh jayenge
Aansuyo ka bojh agar palken uthaana chor dein

Baarishen deewar dho dene ki aadi hain to kya
Is khauf se hum tera chehra banana chor dein

Post a Comment

0 Comments