Is duniya ne meri wafa ka kitna uncha mol diya

Is duniya ne meri wafa ka kitna uncha mol diya
Payroon mein zanjireen dali hathon mein khaskol diya

Jab bhi ko inaam mila hai mera naam bhi bhool gaye
Jab bhi koi ilzaam laga hai mujh par laakar dhol diya

Haath ke chhale paaon ke kaante aankh main aansoo dil ka dard
Tune mujhko pyaar main jo bhi tohfa diya anmol diya

Ab ghum aayen khushiyaan aayen maut aaye ya tu aaye
Main ne to bas aahat paayi aur darwaza khol diya

Jitna khushi se rishtaa mera utna ghum se naata hai
Maine ek mizaan main apna saara dukh sukh tol diya

Post a Comment

0 Comments