Kamal E Zabt Ko Khud Bhi To Azmaungi
Main Apane Haath Se Us Ki Dulhan Sajaungi
Supurd Kar Ke Use Chaandani Ke Haathon Mein
Main Apane Ghar Ke Andheron Mein Laut Aongi
Badan Ke Karb Ko Woh Bhi Samajh Na Payega
Main Dil Mein Roungi Aankhon Mein Muskuraungi
Woh Kyaa Gayaa Ke Rafaqat Ke Saare Lutf Gaye
Main Kis Se Routh Sakuungi Kise Manaungi
Woh Ek Rishtaa E Benaam Bhi Nahi Lekin
Main Ab Bhi Us Ke Ishaaron Pe Sar Jhukaungi
Bichha Diya Tha Gulaabon Ke Saath Apana Wajood
Woh So Ke Uthe To Khwaabon Ki Raakh Uthaungi
Ab Us Ka Fan To Kisi Aur Se Manasob Hua
Main Kis Ki Nazm Akele Men Gun Gunaungi
Javaz Dhuundh Raha Tha Nai Muhabbat Ka
Woh Keh Raha Tha Ke Main Us Ko Bhool Jaungi
0 Comments