Kyun kisi aur ko dukh dard sunaun apne

Kyun kisi aur ko dukh dard sunaun apne

Kyun kisi aur ko dukh dard sunaun apne
Kyun kisi aur ko dukh dard sunaun apne
Apni aankhon mein bhi main zakham chupaun

Main to qayam hun tere gham ki badolat warna
Yun bhikhar jaon ki khud ke haath na aaun apne

Sher logon ko bahut yaad hai auron ke liye
Tu mile to main tujhe sher sunaun apne

Tere raaste ka jo kanta bhi mayassar aaye
Main use shauk se kaalar pe sajaun apne

Sochta hun ki bujha dun main ye kamre ka deeya
Apne saye ko bhi kyon sath jagaun apne 

Uski talwar ne woh chaal chali hai ab ke
Paon Katate hain agar haath bachaoon apne

Akhri baat mujhe yaad hai uski Anwar
Rogh uska na mein dil se lagaon apne

Post a Comment

0 Comments