Wo durd ko ankhon se guzarne nahi deta
Wo durd ko ankhon se guzarne nahi deta
Sailab tou de deta hai, jharne nahi deta
Rehta to hai ankhon main wo aaina baraber
Jab mujh ko sanwarna ho, sanwarne nahi deta
Khud toot k bikhron to bikhar jaon bala se
Main durd ki dolat to bikharne nahi deta
Phir mujh ko utha deta hai daman ki hawa hai
Marne ka irada ho to marne nahi deta
Main us k dil e sakht main ghar kesay karon ga
Wo apni gali se bhi guzarne nahi deta
Main maail inkaar to ho jata hon duniya
Dil mujh ko mohabat se mukarne nahi deta
1 Comments
I һave reаԀ soo many articles ɑbout tһe blogger lovers һowever this article іs really a nice post, keеp it uр.
ReplyDelete