Sath rota tha mere sath hansa karta tha

Sath rota tha mere sath hansa krta tha
Wohi ek tha jo mere dil mein basa krta tha

Meri chahat ka talbgar tha wo is darja
K wo musalle pe namazon mein dua krta tha

Ik lamhe ka bicharna bhi gawara na tha use
Rote rote wo mujh se yehi kaha krta tha

Rog dil ko jo laga betha tha anjane mein
Meri agosh mein marne ki dua krta tha

Baat kismat ki thi k door ho gaye jo hum
Warna wo to mujhe taqdeer kaha krta tha

Post a Comment

0 Comments