Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
K toot kar bhi mera hosla chataan ka hai

Bura na Maan mere hurf-o-lafz zehr sahi
Main kya karun k yehi zaaiqa zabaan ka hai

Meri sanjeedgi mashhoor hai zamaane mein
Meri khaamoshi bhi Pehlu mere bayaan ka hai

Har ek ghar pe musallat hai dil ki veeraani
Tamaam sheher pe saaya mere makaan ka hai

Bichar k us se main bas is liye nahi bikhra
Wo keh gaya tha yehi waqt imtehaan ka hai

Post a Comment

0 Comments