Ek Diya Dil Mein Jalaana Bhi Bujhaa Bhi Dena.

Ek Diya Dil Mein Jalaana Bhi Bujhaa Bhi Dena.

Yaad Karna Bhi Ose Roz Bhula Bhi Dena.

Kia Kahoon Ye Meri Chaahat Hai K Nafrat Oski.

Naam Likhna Bhi Mera, Likh K Mita Bhi Dena.

Phir Na Milnay Ko Bicharta Hun Tujh Se Lekin.

Murr K Dekhun Tou Palatnay Ki Dua Bhi Dena.

Khat Bhi Likhna Mayoos Bhi Rehna Os Se.

Jurm Karna Bhi Magar Khud Ko Sazaa Bhi Dena.

Mujh Ko Rasmon Ka Takalluf Bhi Ganwaara Lekin.

Jee Mein Aaye Tou Ye Deewaar Gira Bhi Dena.

Os Se Mansoob Bhi Karlaina Puraanay Qissay.

Os K Baalon Mein Naya Phool Sajaa Bhi Dena.

Soorat-e-Naqsh-e-Qadam, Dasht Mein Rehna "Mohsin"

Apnay Honay Se Na Honay Ka Pataa Bhi Dena.

Post a Comment

0 Comments