Meri chahat tha wo meri ana bhi tha,

Meri chahat tha wo meri ana bhi tha,

mere khamosh lehjon ki wo ik sada bi tha,

rehta tha subh-o-sham wo mere wajood mai,

meri awaz mera lehja wo meri ada bi tha,

deta tha mujhko zakham wo be-hisab mgr,

hamdard bi tha mera wo meri wafa bi tha,

Ab us k zikr pr aksar mai khamosh rhta hun,

kbi meri muhabbat ki wo inteha bi tha,

ajab kash-ma-kash thi meri zindagi mein "Ghalib",

Poojna usay bi tha aur dil main khuda bi tha..!

Post a Comment

0 Comments