Zara sa sabr abhi uska aasra bhi to hai..

Zara sa sabr abhi uska aasra bhi to hai..

Ye kesay bhool gaye tum k ik Khuda bhi to hai..

Udhr khirad k sujhati hai raastay kiya kiya ,

Idhr junoo'n k sahoolat say rokta bhi to hai..

Jisay tu apna mukhalif samajh raha hai miya'n.

Ye aaina tri soorat san'warta bhi to hai..

Unhen to Mai kabhi tasleem krnay wala nahi ,

Jo maantay hi nahi hain k doosra bhi to hai..

Nahi karon to Mai kiya kiya, karon to kiya Mai karon ,

Ye meray sath hi kiyun hai ke sochna bhi to hai..

Zara thehr bhi dam-e-wapasi thehr bhi zara ,

Khud apnay aap ko ham nay sametna bhi to hai..

Hai ik muqaam pe thehra huwa agar.

Kuch is mei dakhl tumhari pukaar ka bhi to hai.

Post a Comment

0 Comments