Maana Teri Nazar me, Tera pyaar Hum nahi,

Maana Teri Nazar me, Tera pyaar Hum nahi,

Kaise kahein k, Tere talabgaar Hum nahi,

Khud ko jala k, khaak kar daala, mita daala,

Lo ab Tumhari raah mein, diwaar Hum nahi,

Jisko sanwaara Humne, tamannao k khoon se,

Gulshan mein us bahaar ke, Haqdaar Hum nahi,

Dhokha diya hai khud ko, Mohabbat ke naam se,

Kaise kahein ke, Tere gunahgaar Hum nahi.

Post a Comment

0 Comments