Badal saka na Judaai k

Badal saka na Judaai k Gham Utha kar bhi..

K Main to Main hi raha Tujh sy Door jaa kar bhi..

Main Sakht Jan tha! Is Karb sy bhi Bach Nikla..

Main Ji raha hun Tujhy Hath sy Ganwa kar bhi..

Abhi to Mery Bikharny ka Khail Baqi hy..

Main Khush nhi hun Abhi Apna Ghar Lutaa kar bhi..

Main Usko Satah sy Mehsoos kar k bhi Khush hun..

Wo Matma'inn hi nhi Meri Teh ko Paa kar bhi..

Abhi tak Us ny Koi bhi to Faisla na kiya..

Wo Chup hy! Mujh ko har ik tarha Aazma kar bhi..

Wo Log or hi thy Jin ka Ijz Phal laaya..

Hame'n to kuch na Mila Apny ko Mitaa kar bhi..

Ghazal Kahne py bhi Socho'n ka Bojh km na hua..

Sukoon Mil na Saka Haal e Dil Suna kar bhi..

Ruka na Zulm Mery Raakh hony par bhi Riaz..

Hawa ki Khu to Wohi hy Mujhy Jalaa kar bhi..............!i

Post a Comment

0 Comments