Bara kathin hai rasta jo aa sako toh sath do!

Bara kathin hai rasta jo aa sako toh sath do!
Ye zindagi ka fasla mita sako to sath do!!
Bare fareb khaoogi, bare sitam utaoogi!
Ye umar bhar ka sath hai nibha sako toh sath do!!
Jo tum kaho, ye dil toh kya, mai jaan bhi fida karon!
Jo main kahon, bus ek nazar, luta sako toh sath do!!
Hazaar imtehan yahan, hazaar azmaeish!
Hazaar dukh, hazaar gham, utha sako toh sath do!!
Ye zindagi yahan khushi ghumoon ke sath sath hain!
Rula sako toh sath do, hansa sakho toh sath do!!

Post a Comment

0 Comments