Roshni ki dhaar pr rakhi kahani aur dukh...

Roshni ki dhaar pr rakhi kahani aur dukh...
Aankh se behta huwa khamosh pani aur dukh...

Mere kamry mein usi tarteeb se rakhy huwe hain...
Phool, khat, waadey, dilasey, ik jwani aur dukh...

Ek doojy se bicher kr umr bhr roty rahy...
Raat, sehra, khushk patty,
aik raani aur dukh...

Ab mery lafzon men woh pehley si kefiyat nahi...
Daal ab jholi men, teri mehrbani, aur dukh...

Raat sehra mein kisi ne bansuri ki hook pr...
Rakh deen phir roti hoi
yaaden purani aur dukh..

Post a Comment

0 Comments