Bhool jana tha to phir apna banaya Q tha?

Bhool jana tha to phir apna banaya Q tha?

Tum ne ulfat ka yaqeen mujh ko dilaya Q tha?



Aik bhatky howy raahi ko Sahara de kar

Jhooti manzil ka nishan tum ne dikhaya Q tha?



Khud hi toofan uthana tha Muhabat me agr

Doobney se meri kashti ko Bachaya Q tha?



Jis ki Tabeer ab ashkon k Siwa kuch b nahi

Khwab aisa meri aankhon ko dikhaya Q tha?



Apny anjaam pe ab Q ho Pasheman pagal?

Aik bedard se dil tum ne Lagaya hi Q tha?

Post a Comment

0 Comments