Darya dili kahun teri kya saaqiya k bas

Darya dili kahun teri kya saaqiya k bas

paimana apny munh sy ye khud bol otha k bas.



zikr-e-shab-e-alm py kaleja pakarr liya.

kuch aur bhi suno gy mera maajra k bas



Allah jany ghair sy kya guftugu hoi

itna to main bhi aaya tha sunta hoa k bas...



go sang dil thy wo magar aansu nikal parry

is be-kasi sy mera janaza otha k bas..



achha teri gali sy main jata hoon paasban..

kuch aur kehny sunny ko baqi hy ya k bas.



shab bhar tery mareez ka aalam yehi raha

namzon py jis ny hath rakha keh diya k bas.



din ho k raat rony sy matlab hamen

dil dy k on ko aesa nateeja mila k bas.

Post a Comment

0 Comments