Laakh Masmaar Kiye Jaen Zamane Wale

Laakh Masmaar Kiye Jaen Zamane Wale

Aa Hi Jatey Hein Naya Shehar Basane Wale,



Iski Zad Par Wo Kabhi Khud Bhi To Aa Sakte Hein

Yeh Kahaan Jantey Hein, Aag Laganay Waly,



Ab To Saawan Mein Bhi Barood Barasta Hai

Ab Wo Mausam Nahi Barish Mein Nahane Waley,



Sar Se Jaata Hi Nahi Wada-e-Farwa Ka Junoo

Mar Gaey Adal Ki Zanjeer Hilaney Waley,



Hum Ne Kehte Thay Tujhe Waqat Bohat Zalim Hai

Kiya Huey, Ab Wo Tere Naaz Uthaney Waley,



Saey Mein Bethi Hui Nasal Ko Maloom Nahi

Dhoop Ki Nazar Huey Pairr Laganey Waley,



Ghar Mein Diwarein Hein Or Sehan Mein Aankhein Hein,

Itnay Aazaad Nahi Wada Nibhane Waley..

Post a Comment

0 Comments