Likhna Nahin Aata To Meri Jaan Parha kar

Likhna Nahin Aata To Meri Jaan Parha kar
Ho Jaye Gi Mushkil Teri Aasaan Parha kar

Parhne k Liye Tujh ko Agar kuch Na Mile To
Chehron pe Likhe Dard k Unwaan Parha kar

Laraib Teri Rooh ko Taskeen Mile Gi
Tu Karb k Lamhaat Main Quran Parha kar

Paida Ho Tere Behr ki Moujon Main Talatum
Tu Hasti E Iqbal k Dewaan Parha Kar

Aa Jaye Ga "IQBAL" Tujhe  Jeeney Ka Qareena
Tu Sarvar-E-Kounain (S.A.W.W) k Farmaan Parha kar

Post a Comment

11 Comments

  1. kia koi kindly yeh bta skta hy k yeh ghazal kis book sy li gai hy plzzzzzzzzzzz

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ye bang-e-dara sy li gae hy...... Confirm hy

      Delete
  2. it is not by Allama Muhammad Iqbal. it is by iqbal azeem

    ReplyDelete
    Replies
    1. It is taken from the book(baang-e-draa) by our national poet Dr. Allama Muhammad Iqbal rehmtullah aleh

      Delete
  3. Rooh ko taskeen mil gai. Great poet Hazrat Allama Iqbal. Every word HV msg for future as well.

    ReplyDelete
  4. Ye bang e dra me kaise ho sakta hai jub allama ka hai hi nahi

    ReplyDelete

  5. Salam friends Ye Poetry Internet par Allama Iqbal k Naam Se Hi Publish hai is liye Main ne bhi Allama Iqbal k Naam Se Post ki Hai.

    ReplyDelete
  6. This isn't Allama's, it's just thumped into his name

    ReplyDelete