Phir teray na aane ki khabar shaam main aayi,

Phir teray na aane ki khabar shaam main aayi,

Zohrab ki talkhi si mere jaam mein aayi,



Aye kaash na poora ho koi bhi mera arman,

Ye aur tamanna, dil-e-nakaam mein aayi,



Kiya kiya na ghazal us ki judaai mein kahi hai,

Barbadi-e-jaan bhi to kisi kaam mein aayi,



Kuch tera sarapa mere ashaar mein utra,

Kuch shairi meri, tere inaam mein aayi,



Kab tak ghum-e-doran mujhe fitrak mein rakhta,

Aakhir ko to duniya bhi mere daam mein aayi,



Kal sham ke tha sheikh-e-haram, sahib-e-mehfil,

Sehba ki pari jaama-e-ehraam mein aayi,



Har chand Faraz aik faqeer-e-sar-reh hoon,

Par mumlikat-e-harf mere naam to aayi....!!

Post a Comment

0 Comments