Suno Aye Chand Si Larki,

Suno Aye Chand Si Larki,

Abi Tum Titliyan Pakro,

Ya Phir Guriyun Se Khelo Tum,

Ya Phir Masoom Si Ankhon Se,



Dheron Khuwab Dekho Tum,

Faraz-o-Faiz-o-Mohsin Ki,

Kitaben Mat Abi Parhna,

Ye Sub Lafzon Ke Shayar Hain,



Tumhe Uljha Ke Rakh Denge,

Tumhe Maloom Hi Kab Hai,

Mohabbat K Libade Mai,

Hawas Or Hirs Hoti Hai,



Ye Insano Ki Dunya Hai,

Magar Inse Kahin Barh Kar,

Yahan Wehshi Darinde Hain,

Wo Wehshi Jinki Ankhon Main,



Machalte Pyar K Peeche,

Hawas or Hirs Hoti Hai,

Abi Kacchi Kali Ho Tum,

Abi Kanton Se Mat Khelo,



Abi Apni Hatheli Par,

Kisi Ka Nam Mat Likhna,

Abi Apni Kitabon Main,

Gulabi Phool Mat Rakhna,

Suno! Aye Chand Si Larki

Post a Comment

0 Comments