Watan ki matti azmeen hai tu,

Watan ki matti
azmeen hai tu,
azeem tar hum bana
rahe hain
Gawah rehna.

Tere muqani ki har
sada main,
teri hi
khushboo mehak
rahi hai
Har eik sur main,
har eik le main,
teri
muhabbat chamak
rahi hai.

Teri zameen k ye
chaand tare,
hai jin
ki aankhon main
pyar tera.
Sadaqaton k diye
jala k,
barha rahay
hain waqar tera.

Watan ki matti
gawah rehna,

Har eik dil main teri
lagan hai,
teri hi janib har ik nazar
hai
Teri hifazat ka azm
le kar,
har eik apne mahaz per hai.

Watan ki matti
gawah rehna,

Post a Comment

0 Comments